رمزِ زندگیRamz E Zindagi

واقف ہیں ہم کہ حضرت غم ایسے شخص ہیں

Ghazal · Bahadur Shah Zafar · بہادر شاہ ظفر · 7 sher · Roman Urdu ke saath

vāqif haiñ ham ki hazrat-e-ġham aise shaḳhs haiñaur phir ham un ke yaar haiñ ham aise shaḳhs haiñ
dīvāne tere dasht meñ rakkheñge jab qadammajnūñ bhī legā un ke qadam aise shaḳhs haiñ
jin pe hoñ aise zulm o sitam ham nahīñ vo loghoñ roz balki lutf o karam aise shaḳhs haiñ
yuuñ to bahut haiñ aur bhī ḳhūbān-e-dil-farebpar jaise pur-fan aap haiñ kam aise shaḳhs haiñ
kyā kyā jafā-kashoñ pe haiñ un dilbaroñ ke zulmaisoñ ke sahte aise sitam aise shaḳhs haiñ
diiñ kyā hai balki dījiye īmān bhī unheñzāhid ye but ḳhudā kī qasam aise shaḳhs haiñ
āzurda huuñ adū ke jo kahne pe ai 'zafar'ne aise shaḳhs vo haiñ na ham aise shaḳhs haiñ