رمزِ زندگیRamz E Zindagi

دل مرا جس سے بہلتا کوئی ایسا نہ ملا

Ghazal · Akbar Allahabadi · اکبر الہ آبادی · 7 sher · Roman Urdu ke saath

dil mirā jis se bahaltā koī aisā na milābut ke bande mile allāh kā bandā na milā
bazm-e-yārāñ se phirī bād-e-bahārī māyūsek sar bhī use āmāda-e-saudā na milā
gul ke ḳhvāhāñ to nazar aa.e bahut itr-faroshtālib-e-zamzama-e-bulbul-e-shaidā na milā
vaah kyā raah dikhā.ī hai hameñ murshid nekar diyā kaabe ko gum aur kalīsā na milā
rañg chehre kā to collage ne bhī rakkhā qaa.imrañg-e-bātin meñ magar baap se beTā na milā
sayyad uTThe jo gazette le ke to lākhoñ laa.eshaiḳh qur.ān dikhāte phire paisā na milā
hoshyāroñ meñ to ik ik se sivā haiñ 'akbar'mujh ko dīvānoñ meñ lekin koī tujh sā na milā