رمزِ زندگیRamz E Zindagi

غمزہ نہیں ہوتا کہ اشارا نہیں ہوتا

Ghazal · Akbar Allahabadi · اکبر الہ آبادی · 6 sher · Roman Urdu ke saath

ġhamza nahīñ hotā ki ishārā nahīñ hotāaañkh un se jo miltī hai to kyā kyā nahīñ hotā
jalva na ho ma.anī kā to sūrat kā asar kyābulbul gul-e-tasvīr kā shaidā nahīñ hotā
allāh bachā.e maraz-e-ishq se dil kosunte haiñ ki ye āriza achchhā nahīñ hotā
tashbīh tire chehre ko kyā duuñ gul-e-tar sehotā hai shagufta magar itnā nahīñ hotā
maiñ naza.a meñ huuñ aa.eñ to ehsān hai un kālekin ye samajh leñ ki tamāshā nahīñ hotā
ham aah bhī karte haiñ to ho jaate haiñ badnāmvo qatl bhī karte haiñ to charchā nahīñ hotā