رمزِ زندگیRamz E Zindagi

نہ روح مذہب نہ قلب عارف نہ شاعرانہ زبان باقی

Ghazal · Akbar Allahabadi · اکبر الہ آبادی · 7 sher · Roman Urdu ke saath

na rūh-e-maz.hab na qalb-e-ārif na shā.irāna zabān baaqīzamīñ hamārī badal ga.ī hai agarche hai āsmān baaqī
shab-e-guzishta ke saaz o sāmāñ ke ab kahāñ haiñ nishān baaqīzabān-e-shama-e-sahar pe hasrat kī rah ga.ī dāstān baaqī
jo zikr aatā hai āḳhirat kā to aap hote haiñ saaf munkirḳhudā kī nisbat bhī dekhtā huuñ yaqīn ruḳhsat gumān baaqī
fuzūl hai un kī bad-dimāġhī kahāñ hai fariyād ab laboñ parye vaar par vaar ab abas haiñ kahāñ badan meñ hai jaan baaqī
maiñ apne miTne ke ġham meñ nālāñ udhar zamāna hai shaad o ḳhandāñishāra kartī hai chashm-e-daurāñ jo aan baaqī jahān baaqī
isī liye rah ga.ī haiñ āñkheñ ki mere miTne kā rañg dekheñsunūñ vo bāteñ jo hosh uḌā.eñ isī liye haiñ ye kaan baaqī
ta.ajjub aatā hai tifl-e-dil par ki ho gayā mast-e-nazm-e-'akbar'abhī middle paas tak nahīñ hai bahut se haiñ imtihān baaqī