سانس لیتے ہوئے بھی ڈرتا ہوں
Ghazal · Akbar Allahabadi · اکبر الہ آبادی · 6 sher · Roman Urdu ke saath
saañs lete hue bhī Dartā huuñye na samjheñ ki aah kartā huuñ
bahr-e-hastī meñ huuñ misāl-e-habābmiT hī jaatā huuñ jab ubhartā huuñ
itnī āzādī bhī ġhanīmat haisaañs letā huuñ baat kartā huuñ
shaiḳh sāhab ḳhudā se Darte hoñmaiñ to añgrezoñ hī se Dartā huuñ
aap kyā pūchhte haiñ merā mizājshukr allāh kā hai martā huuñ
ye baḌā aib mujh meñ hai 'akbar'dil meñ jo aa.e kah guzartā huuñ