امید ٹوٹی ہوئی ہے میری جو دل مرا تھا وہ مر چکا ہے
Ghazal · Akbar Allahabadi · اکبر الہ آبادی · 5 sher · Roman Urdu ke saath
ummīd TuuTī huī hai merī jo dil mirā thā vo mar chukā haijo zindagānī ko talḳh kar de vo vaqt mujh par guzar chukā hai
agarche siine meñ saañs bhī hai nahīñ tabī.at meñ jaan baaqīajal ko hai der ik nazar kī falak to kaam apnā kar chukā hai
ġharīb-ḳhāne kī ye udāsī ye nā-durustī nahīñ qadīmīchahal pahal bhī kabhī yahāñ thī kabhī ye ghar bhī sañvar chukā hai
ye siina jis meñ ye daaġh meñ ab masarratoñ kā kabhī thā maḳhzanvo dil jo armān se bharā thā ḳhushī se us meñ Thahar chukā hai
ġharīb akbar ke gard kyuuñ meñ ḳhayāl vaa.iz se koī kah deuse Darāte ho maut se kyā vo zindagī hī se Dar chukā hai