اپنی گرہ سے کچھ نہ مجھے آپ دیجئے
Ghazal · Akbar Allahabadi · اکبر الہ آبادی · 6 sher · Roman Urdu ke saath
apnī girah se kuchh na mujhe aap dījiyeaḳhbār meñ to naam mirā chhāp dījiye
dekho jise vo pionēr office meñ hai DaTābahr-e-ḳhudā mujhe bhī kahīñ chhāp dījiye
chashm-e-jahāñ se hālat-e-aslī chhupī nahīñaḳhbār meñ jo chāhiye vo chhāp dījiye
da.avā bahut baḌā hai riyāzī meñ aap kotūl-e-shab-e-firāq ko to naap dījiye
sunte nahīñ haiñ shaiḳh na.ī raushnī kī baatengine kī un ke kaan meñ ab bhaap dījiye
is but ke dar pe ġhair se 'akbar' ne kah diyāzar hī maiñ dene laayā huuñ jaan aap dījiye