رمزِ زندگیRamz E Zindagi

کوئی انیس کوئی آشنا نہیں رکھتے

Ghazal · Mir Anees · میر انیس · 10 sher · Roman Urdu ke saath

koī aniis koī āshnā nahīñ rakhtekisī kī aas baġhair az ḳhudā nahīñ rakhte
kisī ko kyā ho diloñ kī shikastagī kī ḳhabarki TūTne meñ ye shīshe sadā nahīñ rakhte
faqīr dost jo ho ham ko sarfarāz karekuchh aur farsh ba-juz boriyā nahīñ rakhte
musāfiro shab-e-avval bahut hai tiira o taarcharāġh-e-qabr abhī se jalā nahīñ rakhte
vo log kaun se haiñ ai ḳhudā-e-kaun-o-makāñsuḳhan se kaan ko jo āshnā nahīñ rakhte
musāfirān-e-adam kā pata mile kyūñkarvo yuuñ ga.e ki kahīñ naqsh-e-pā nahīñ rakhte
tap-e-darūñ ġham-e-furqat varam-e-payāda-ravīmaraz to itne haiñ aur kuchh davā nahīñ rakhte
khulegā haal unheñ jab ki aañkh band huījo log ulfat-e-mushkil-kushā nahīñ rakhte
jahāñ kī lazzat o ḳhvāhish se hai bashar kā ḳhamīrvo kaun haiñ ki jo hirs-o-havā nahīñ rakhte
'anīs' bech ke jaañ apnī hind se niklojo tosha-e-safar-e-karbalā nahīñ rakhte