رمزِ زندگیRamz E Zindagi

آ کہ مری جان کو قرار نہیں ہے

Ghazal · Mirza Ghalib · مرزا غالب · 7 sher · Roman Urdu ke saath

aa ki mirī jaan ko qarār nahīñ haitāqat-e-bedād-e-intizār nahīñ hai
dete haiñ jannat hayāt-e-dahr ke badlenashsha ba-andāza-e-ḳhumār nahīñ hai
girya nikāle hai terī bazm se mujh kohaa.e ki rone pe iḳhtiyār nahīñ hai
ham se abas hai gumān-e-ranjish-e-ḳhātirḳhaak meñ ushshāq kī ġhubār nahīñ hai
dil se uThā lutf-e-jalva-hā-e-ma.ānīġhair-e-gul ā.īna-e-bahār nahīñ hai
qatl kā mere kiyā hai ahd to baarevaa.e agar ahd ustuvār nahīñ hai
tū ne qasam mai-kashī kī khaa.ī hai 'ġhālib'terī qasam kā kuchh e'tibār nahīñ hai