رمزِ زندگیRamz E Zindagi

جز قیس اور کوئی نہ آیا بروئے کار

Ghazal · Mirza Ghalib · مرزا غالب · 14 sher · Roman Urdu ke saath

juz qais aur koī na aayā ba-rū-e-kārsahrā magar ba-tañgi-e-chashm-e-hasūd thā
āshuftagī ne naqsh-e-suvaidā kiyā durustzāhir huā ki daaġh kā sarmāya duud thā
thā ḳhvāb meñ ḳhayāl ko tujh se muāmlajab aañkh khul ga.ī na ziyāñ thā na suud thā
letā huuñ maktab-e-ġham-e-dil meñ sabaq hanūzlekin yahī ki raft gayā aur buud thā
Dhāñpā kafan ne dāġh-e-uyūb-e-barahnagīmaiñ varna har libās meñ nañg-e-vajūd thā
teshe baġhair mar na sakā kohkan 'asad'sargashta-e-ḳhumār-e-rusūm-o-quyūd thā
aalam jahāñ ba-arz-e-bisāt-e-vajūd thājuuñ sub.h chāk-e-jeb mujhe tār-o-pūd thā
bāzī-ḳhur-e-fareb hai ahl-e-nazar kā zauqhañgāma garm-e-hairat-e-būd-o-nabūd thā
aalam tilism-e-shahr-e-ḳhamoshī hai sar-basaryā maiñ ġharīb-e-kishvar-e-guft-o-shunūd thā
tañgī rafīq-e-rah thī adam yā vajūd thāmerā safar ba-tāla-e-chashm-e-hasūd thā
tū yak-jahāñ qamāsh-e-havas jam.a kar ki maiñhairat-matā-e-ālam-e-nuqsān-o-sūd thā
gardish-muhīt-e-zulm rahā jis qadar falakmaiñ pā.emāl-e-ġhamza-e-chashm-e-kabūd thā
pūchhā thā garche yaar ne ahvāl-e-dil magarkis ko dimāġh-e-minnat-e-guft-o-shunūd thā
ḳhur shabnam-āshnā na huā varna maiñ 'asad'sar-tā-qadam guzārish-e-zauq-e-sujūd thā