رمزِ زندگیRamz E Zindagi

کل کے لیے کر آج نہ خست شراب میں

Ghazal · Mirza Ghalib · مرزا غالب · 11 sher · Roman Urdu ke saath

kal ke liye kar aaj na ḳhissat sharāb meñye sū-e-zan hai sāqi-e-kausar ke baab meñ
haiñ aaj kyuuñ zalīl ki kal tak na thī pasandgustāḳhi-e-farishta hamārī janāb meñ
jaañ kyuuñ nikalne lagtī hai tan se dam-e-samāgar vo sadā samā.ī hai chañg o rabāb meñ
rau meñ hai raḳhsh-e-umr kahāñ dekhiye thamene haath baag par hai na pā hai rikāb meñ
utnā hī mujh ko apnī haqīqat se bod haijitnā ki vahm-e-ġhair se huuñ pech-o-tāb meñ
asl-e-shuhūd-o-shāhid-o-mash.hūd ek haihairāñ huuñ phir mushāhida hai kis hisāb meñ
hai mushtamil numūd-e-suvar par vajūd-e-baharyaañ kyā dharā hai qatra o mauj-o-habāb meñ
sharm ik adā-e-nāz hai apne hī se sahīhaiñ kitne be-hijāb ki haiñ yuuñ hijāb meñ
ārā.ish-e-jamāl se fāriġh nahīñ hunūzpesh-e-nazar hai aa.ina daa.im naqāb meñ
hai ġhaib-e-ġhaib jis ko samajhte haiñ ham shuhūdhaiñ ḳhvāb meñ hunūz jo jaage haiñ ḳhvāb meñ
'ġhālib' nadīm-e-dost se aatī hai bū-e-dostmashġhūl-e-haq huuñ bandagi-e-bū-turāb meñ