رمزِ زندگیRamz E Zindagi

پھر مجھے دیدۂ تر یاد آیا

Ghazal · Mirza Ghalib · مرزا غالب · 11 sher · Roman Urdu ke saath

phir mujhe dīda-e-tar yaad aayādil jigar tishna-e-faryād aayā
dam liyā thā na qayāmat ne hanūzphir tirā vaqt-e-safar yaad aayā
sādgī-hā-e-tamannā ya.anīphir vo nairañg-e-nazar yaad aayā
uzr-e-vāmāndagī ai hasrat-e-dilnaala kartā thā jigar yaad aayā
zindagī yuuñ bhī guzar hī jaatīkyuuñ tirā rāhguzar yaad aayā
kyā hī rizvāñ se laḌā.ī hogīghar tirā ḳhuld meñ gar yaad aayā
aah vo jur.at-e-fariyād kahāñdil se tañg aa ke jigar yaad aayā
phir tire kūche ko jaatā hai ḳhayāldil-e-gum-gashta magar yaad aayā
koī vīrānī sī vīrānī haidasht ko dekh ke ghar yaad aayā
maiñ ne majnūñ pe laḌakpan meñ 'asad'sañg uThāyā thā ki sar yaad aayā
vasl meñ hijr kā Dar yaad aayāain jannat meñ saqar yaad aayā