روندی ہوئی ہے کوکبۂ شہریار کی
Ghazal · Mirza Ghalib · مرزا غالب · 3 sher · Roman Urdu ke saath
roñdī huī hai kaukaba-e-shahryār kīitrā.e kyuuñ na ḳhaak sar-e-rahguzār kī
jab us ke dekhne ke liye aa.eñ bādshāhlogoñ meñ kyuuñ numūd na ho lāla-zār kī
bhūke nahīñ haiñ sair-e-gulistāñ ke ham valekyūñkar na khā.iye ki havā hai bahār kī