رمزِ زندگیRamz E Zindagi

سادگی پر اس کی مر جانے کی حسرت دل میں ہے

Ghazal · Mirza Ghalib · مرزا غالب · 7 sher · Roman Urdu ke saath

sādgī par us kī mar jaane kī hasrat dil meñ haibas nahīñ chaltā ki phir ḳhanjar kaf-e-qātil meñ hai
dekhnā taqrīr kī lazzat ki jo us ne kahāmaiñ ne ye jaanā ki goyā ye bhī mere dil meñ hai
garche hai kis kis burā.ī se vale bā.īñ-hamazikr merā mujh se behtar hai ki us mahfil meñ hai
bas hujūm-e-nā-umīdī ḳhaak meñ mil jā.egīye jo ik lazzat hamārī sa.ī-e-be-hāsil meñ hai
rañj-e-rah kyuuñ khīñchiye vāmāndagī ko ishq haiuTh nahīñ saktā hamārā jo qadam manzil meñ hai
jalva zār-e-ātish-e-dozaḳh hamārā dil sahīfitna-e-shor-e-qayāmat kis ke āb-o-gil meñ hai
hai dil-e-shorīda-e-'ġhālib' tilism-e-pech-o-tābrahm kar apnī tamannā par ki kis mushkil meñ hai