رمزِ زندگیRamz E Zindagi

بزم شاہنشاہ میں اشعار کا دفتر کھلا

Ghazal · Mirza Ghalib · مرزا غالب · 10 sher · Roman Urdu ke saath

bazm-e-shāhanshāh meñ ash.ār kā daftar khulārakhiyo yā rab ye dar-e-ganjīna-e-gauhar khulā
shab huī phir anjum-e-raḳhshanda kā manzar khulāis takalluf se ki goyā but-kade kā dar khulā
garche huuñ dīvāna par kyuuñ dost kā khā.ūñ farebāstīñ meñ dashna pinhāñ haath meñ nashtar khulā
go na samjhūñ us kī bāteñ go na pā.ūñ us kā bhedpar ye kyā kam hai ki mujh se vo parī-paikar khulā
hai ḳhayāl-e-husn meñ husn-e-amal kā sā ḳhayālḳhuld kā ik dar hai merī gor ke andar khulā
muñh na khulne par hai vo aalam ki dekhā hī nahīñzulf se baḌh kar naqāb us shoḳh ke muñh par khulā
dar pe rahne ko kahā aur kah ke kaisā phir gayājitne arse meñ mirā lipTā huā bistar khulā
kyuuñ añdherī hai shab-e-ġham hai balāoñ kā nuzūlaaj udhar hī ko rahegā dīda-e-aḳhtar khulā
kyā rahūñ ġhurbat meñ ḳhush jab ho havādis kā ye haalnaama laatā hai vatan se nāma-bar aksar khulā
us kī ummat meñ huuñ maiñ mere raheñ kyuuñ kaam bandvāste jis shah ke 'ġhālib' gumbad-e-be-dar khulā