زخم پر چھڑکیں کہاں طفلان بے پروا نمک
Ghazal · Mirza Ghalib · مرزا غالب · 9 sher · Roman Urdu ke saath
zaḳhm par chhiḌkeñ kahāñ tiflān-e-be-parvā namakkyā maza hotā agar patthar meñ bhī hotā namak
gard-e-rāh-e-yār hai sāmān-e-nāz-e-zaḳhm-e-dilvarna hotā hai jahāñ meñ kis qadar paidā namak
mujh ko arzānī rahe tujh ko mubārak hojiyonāla-e-bulbul kā dard aur ḳhanda-e-gul kā namak
shor-e-jaulāñ thā kanār-e-bahr par kis kā ki aajgard-e-sāhil hai ba-zaḳhm-e-mauja-e-dariyā namak
daad detā hai mire zaḳhm-e-jigar kī vaah vaahyaad kartā hai mujhe dekhe hai vo jis jā namak
chhoḌ kar jaanā tan-e-majrūh-e-āshiq haif haidil talab kartā hai zaḳhm aur māñge haiñ a.azā namak
ġhair kī minnat na khīñchūñgā pai-e-taufīr-e-dardzaḳhm misl-e-ḳhanda-e-qātil hai sar-tā-pā namak
yaad haiñ 'ġhālib' tujhe vo din ki vajd-e-zauq meñzaḳhm se girtā to maiñ palkoñ se chuntā thā namak
is amal meñ aish kī lazzat nahīñ miltī 'asad'zor nisbat mai se rakhtā hai azārā kā namak