ذکر اس پری وش کا اور پھر بیاں اپنا
Ghazal · Mirza Ghalib · مرزا غالب · 8 sher · Roman Urdu ke saath
zikr us parī-vash kā aur phir bayāñ apnāban gayā raqīb āḳhir thā jo rāz-dāñ apnā
mai vo kyuuñ bahut piite bazm-e-ġhair meñ yā rabaaj hī huā manzūr un ko imtihāñ apnā
manzar ik bulandī par aur ham banā saktearsh se udhar hotā kaash ke makāñ apnā
de vo jis qadar zillat ham hañsī meñ Tāleñgebaare āshnā niklā un kā pāsbāñ apnā
dard-e-dil likhūñ kab tak jā.ūñ un ko dikhlā duuñuñgliyāñ figār apnī ḳhāma ḳhūñ-chakāñ apnā
ghiste ghiste miT jaatā aap ne abas badlānañg-e-sajda se mere sañg-e-āstāñ apnā
tā kare na ġhammāzī kar liyā hai dushman kodost kī shikāyat meñ ham ne ham-zabāñ apnā
ham kahāñ ke daanā the kis hunar meñ yaktā thebe-sabab huā 'ġhālib' dushman āsmāñ apnā