رمزِ زندگیRamz E Zindagi

دیکھنا قسمت کہ آپ اپنے پہ رشک آ جائے ہے

Ghazal · Mirza Ghalib · مرزا غالب · 10 sher · Roman Urdu ke saath

dekhnā qismat ki aap apne pe rashk aa jaa.e haimaiñ use dekhūñ bhalā kab mujh se dekhā jaa.e hai
haath dho dil se yahī garmī gar andeshe meñ haiābgīna tundi-e-sahbā se pighlā jaa.e hai
ġhair ko yā rab vo kyūñkar mana-e-gustāḳhī karegar hayā bhī us ko aatī hai to sharmā jaa.e hai
shauq ko ye lat ki har dam naala khīñche jā.iyedil kī vo hālat ki dam lene se ghabrā jaa.e hai
duur chashm-e-bad tirī bazm-e-tarab se vaah vaahnaġhma ho jaatā hai vaañ gar naala merā jaa.e hai
garche hai tarz-e-taġhāful parda-dār-e-rāz-e-ishqpar ham aise kho.e jaate haiñ ki vo pā jaa.e hai
us kī bazm-ārā.iyāñ sun kar dil-e-ranjūr yaañmisl-e-naqsh-e-mudda.ā-e-ġhair baiThā jaa.e hai
ho ke āshiq vo parī-ruḳh aur nāzuk ban gayārañg khultā jaa.e hai jitnā ki uḌtā jaa.e hai
naqsh ko us ke musavvir par bhī kyā kyā naaz haiñkhīñchtā hai jis qadar utnā hī khiñchtā jaa.e hai
saaya merā mujh se misl-e-dūd bhāge hai 'asad'paas mujh ātish-ba-jāñ ke kis se Thahrā jaa.e hai