دھوتا ہوں جب میں پینے کو اس سیم تن کے پاؤں
Ghazal · Mirza Ghalib · مرزا غالب · 8 sher · Roman Urdu ke saath
dhotā huuñ jab maiñ piine ko us sīm-tan ke paañvrakhtā hai zid se khīñch ke bāhar lagan ke paañv
dī sādgī se jaan paḌūñ kohkan ke paañvhaihāt kyuuñ na TuuT ga.e pīr-zan ke paañv
bhāge the ham bahut so usī kī sazā hai yeho kar asiir dābte haiñ rāhzan ke paañv
marham kī justujū meñ phirā huuñ jo duur duurtan se sivā figār haiñ is ḳhasta-tan ke paañv
allāh-re zauq-e-dasht-navardī ki ba.ad-e-marghilte haiñ ḳhud-ba-ḳhud mire andar kafan ke paañv
hai josh-e-gul bahār meñ yaañ tak ki har tarafuḌte hue ulajhte haiñ murġh-e-chaman ke paañv
shab ko kisī ke ḳhvāb meñ aayā na ho kahīñdukhte haiñ aaj us but-e-nāzuk-badan ke paañv
'ġhālib' mire kalām meñ kyūñkar mazā na hopiitā huuñ dhoke ḳhusrav-e-shīrīñ-suḳhan ke paañv