آئینہ دیکھ اپنا سا منہ لے کے رہ گئے
Ghazal · Mirza Ghalib · مرزا غالب · 8 sher · Roman Urdu ke saath
ā.īna dekh apnā sā muñh le ke rah ga.esāhab ko dil na dene pe kitnā ġhurūr thā
qāsid ko apne haath se gardan na māriyeus kī ḳhatā nahīñ hai ye merā qusūr thā
zof-e-junūñ ko vaqt-e-tapish dar bhī duur thāik ghar meñ muḳhtasar bayābāñ zarūr thā
ai vā.e-ġhaflat-e-nigah-e-shauq varna yaañhar paara sañg laḳht-e-dil-e-koh-e-tūr thā
dars-e-tapish hai barq ko ab jis ke naam sevo dil hai ye ki jis kā taḳhallus subūr thā
har rañg meñ jalā 'asad'-e-fitna-intizārparvāna-e-tajallī-e-sham-e-zuhūr thā
shāyad ki mar gayā tire ruḳhsār dekh karpaimāna raat maah kā labrez-e-nūr thā
jannat hai terī teġh ke kushtoñ kī muntazirjauhar savād-e-jalva-e-mizhgān-e-hūr thā