گھر جب بنا لیا ترے در پر کہے بغیر
Ghazal · Mirza Ghalib · مرزا غالب · 9 sher · Roman Urdu ke saath
ghar jab banā liyā tire dar par kahe baġhairjānegā ab bhī tū na mirā ghar kahe baġhair
kahte haiñ jab rahī na mujhe tāqat-e-suḳhanjānūñ kisī ke dil kī maiñ kyūñkar kahe baġhair
kaam us se aa paḌā hai ki jis kā jahān meñleve na koī naam sitamgar kahe baġhair
jī meñ hī kuchh nahīñ hai hamāre vagarna hamsar jaa.e yā rahe na raheñ par kahe baġhair
chhoḌūñgā maiñ na us but-e-kāfir kā pūjnāchhoḌe na ḳhalq go mujhe kāfar kahe baġhair
maqsad hai nāz-o-ġhamza vale guftugū meñ kaamchaltā nahīñ hai dashna-o-ḳhanjar kahe baġhair
har chand ho mushāhida-e-haq kī guftugūbantī nahīñ hai bāda-o-sāġhar kahe baġhair
bahrā huuñ maiñ to chāhiye duunā ho iltifātsuntā nahīñ huuñ baat mukarrar kahe baġhair
'ġhālib' na kar huzūr meñ tū baar baar arzzāhir hai terā haal sab un par kahe baġhair