ہے بسکہ ہر اک ان کے اشارے میں نشاں اور
Ghazal · Mirza Ghalib · مرزا غالب · 11 sher · Roman Urdu ke saath
hai bas-ki har ik un ke ishāre meñ nishāñ aurkarte haiñ mohabbat to guzartā hai gumāñ aur
yā-rab vo na samjhe haiñ na samjheñge mirī baatde aur dil un ko jo na de mujh ko zabāñ aur
abrū se hai kyā us nigah-e-nāz ko paivandhai tiir muqarrar magar is kī hai kamāñ aur
tum shahr meñ ho to hameñ kyā ġham jab uTheñgele ā.eñge bāzār se jā kar dil o jaañ aur
har chand subuk-dast hue but-shikanī meñham haiñ to abhī raah meñ hai sañg-e-girāñ aur
hai ḳhūn-e-jigar josh meñ dil khol ke rotāhote jo ka.ī dīda-e-ḳhūñ-nāba-fishāñ aur
martā huuñ is āvāz pe har chand sar uḌ jaa.ejallād ko lekin vo kahe jaa.eñ ki haañ aur
logoñ ko hai ḳhurshīd-e-jahāñ-tāb kā dhokāhar roz dikhātā huuñ maiñ ik dāġh-e-nihāñ aur
letā na agar dil tumheñ detā koī dam chainkartā jo na martā koī din āh-o-fuġhāñ aur
paate nahīñ jab raah to chaḌh jaate haiñ naaleruktī hai mirī tab.a to hotī hai ravāñ aur
haiñ aur bhī duniyā meñ suḳhan-var bahut achchhekahte haiñ ki 'ġhālib' kā hai andāz-e-bayāñ aur