ہم سے کھل جاؤ بوقت مے پرستی ایک دن
Ghazal · Mirza Ghalib · مرزا غالب · 5 sher · Roman Urdu ke saath
ham se khul jaao ba-vaqt-e-mai-parastī ek dinvarna ham chheḌeñge rakh kar uzr-e-mastī ek din
ġharra-e-auj-e-binā-e-ālam-e-imkāñ na hois bulandī ke nasīboñ meñ hai pastī ek din
qarz kī piite the mai lekin samajhte the ki haañrañg lāvegī hamārī fāqa-mastī ek din
naġhma-hā-e-ġham ko bhī ai dil ġhanīmat jāniyebe-sadā ho jā.egā ye sāz-e-hastī ek din
dhaul-dhappā us sarāpā-nāz kā sheva nahīñham hī kar baiThe the 'ġhālib' pesh-dastī ek din