حسن مہ گرچہ بہ ہنگام کمال اچھا ہے
Ghazal · Mirza Ghalib · مرزا غالب · 10 sher · Roman Urdu ke saath
husn-e-mah garche ba-hañgām-e-kamāl achchhā haius se merā mah-e-ḳhurshīd-jamāl achchhā hai
bosa dete nahīñ aur dil pe hai har lahza nigāhjī meñ kahte haiñ ki muft aa.e to maal achchhā hai
aur bāzār se le aa.e agar TuuT gayāsāġhar-e-jam se mirā jām-e-sifāl achchhā hai
be-talab deñ to mazā us meñ sivā miltā haivo gadā jis ko na ho ḳhū-e-savāl achchhā hai
un ke dekhe se jo aa jaatī hai muñh par raunaqvo samajhte haiñ ki bīmār kā haal achchhā hai
dekhiye paate haiñ ushshāq butoñ se kyā faizik barhaman ne kahā hai ki ye saal achchhā hai
ham-suḳhan tesha ne farhād ko shīrīñ se kiyājis tarah kā ki kisī meñ ho kamāl achchhā hai
qatra dariyā meñ jo mil jaa.e to dariyā ho jaa.ekaam achchhā hai vo jis kā ki ma.aal achchhā hai
ḳhizr-sultāñ ko rakhe ḳhāliq-e-akbar sarsabzshaah ke baaġh meñ ye taaza nihāl achchhā hai
ham ko ma.alūm hai jannat kī haqīqat lekindil ke ḳhush rakhne ko 'ġhālib' ye ḳhayāl achchhā hai