رمزِ زندگیRamz E Zindagi

عجب نشاط سے جلاد کے چلے ہیں ہم آگے

Ghazal · Mirza Ghalib · مرزا غالب · 7 sher · Roman Urdu ke saath

ajab nashāt se jallād ke chale haiñ ham aageki apne saa.e se sar paañv se hai do qadam aage
qazā ne thā mujhe chāhā ḳharāb-e-bāda-e-ulfatfaqat ḳharāb likhā bas na chal sakā qalam aage
ġham-e-zamāna ne jhāḌī nashāt-e-ishq kī mastīvagarna ham bhī uThāte the lazzat-e-alam aage
ḳhudā ke vāste daad us junūn-e-shauq kī denāki us ke dar pe pahuñchte haiñ nāma-bar se ham aage
ye umr bhar jo pareshāniyāñ uThā.ī haiñ ham netumhāre aa.iyo ai turrah-hā-e-ḳham-ba-ḳham aage
dil o jigar meñ pur-afshāñ jo ek mauja-e-ḳhūñ haiham apne zom meñ samjhe hue the us ko dam aage
qasam janāze pe aane kī mere khāte haiñ 'ġhālib'hamesha khāte the jo merī jaan kī qasam aage