رمزِ زندگیRamz E Zindagi

کمال جوش جنوں ميں رہا ميں گرم طواف

Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 5 sher · Roman Urdu ke saath

Kamal-e-Josh-e-Junoon Mein Raha Main Garam-e-TawafKhuda Ka Shukar, Salamat Raha Haram Ka Ghilaaf
Ye Ittefaq Mubarik Ho Mominon Ke LiyeKe Yak Zuban Hain Faqeehan-e-Shehar Mere Khilaf
Tarap Raha Hai Falatoon Miyan-e-Ghaib-o-HuzoorAzal Se Ahl-e-Khirad Ka Maqam Hai Aaraaf
Tere Zameer Pe Jab Tak Na Ho Nazool-e-KitabGirah Kusha Hai Na Razi Na Shib-e-Kashaaf
Suroor-o-Souz Mein Na-Paidar Hai, WarnaMai-e-Farang Ka The Juraa Bhi Nahin Na Saaf