گیسوئے تابدار کو اور بھی تابدار کر
Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 7 sher · Roman Urdu ke saath
gesū-e-tābdār ko aur bhī tābdār karhosh o ḳhirad shikār kar qalb o nazar shikār kar
ishq bhī ho hijāb meñ husn bhī ho hijāb meñyā to ḳhud āshkār ho yā mujhe āshkār kar
tū hai muhīt-e-be-karāñ maiñ huuñ zarā sī aabjūyā mujhe ham-kanār kar yā mujhe be-kanār kar
maiñ huuñ sadaf to tere haath mere guhar kī aabrūmaiñ huuñ ḳhazaf to tū mujhe gauhar-e-shāhvār kar
naġhma-e-nau-bahār agar mere nasīb meñ na hous dam-e-nīm-soz ko tā.irak-e-bahār kar
bāġh-e-bahisht se mujhe hukm-e-safar diyā thā kyuuñkār-e-jahāñ darāz hai ab mirā intizār kar
roz-e-hisāb jab mirā pesh ho daftar-e-amalaap bhī sharmsār ho mujh ko bhī sharmsār kar