گلزار ہست و بود نہ بیگانہ وار دیکھ
Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 4 sher · Roman Urdu ke saath
gulzār-e-hast-e-būd na begāna-vār dekhhai dekhne kī chiiz ise baar baar dekh
aayā hai tū jahāñ meñ misāl-e-sharār dekhdam de na jaa.e hastī-e-nā-pā.edār dekh
maanā ki terī diid ke qābil nahīñ huuñ maiñtū merā shauq dekh mirā intizār dekh
kholī haiñ zauq-e-dīd ne āñkheñ tirī agarhar rahguzar meñ naqsh-e-kaf-e-pā-e-yār dekh