رمزِ زندگیRamz E Zindagi

جاويد کے نام

Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 5 sher · Roman Urdu ke saath

Khudi Ke Saaz Mein Hai Umer-e-Javidan Ka SuraghKhudi Ke Souz Se Roshan Hain Ummaton Ke Charagh
Ye Aik Baat Ke Adam Hai Sahib-e-MaqsoodHazar Goona Farogh-o-Hazar Goona Faraagh!
Huwi Na Zagh Mein Paida Buland ParwaziKharab Kar Gyi Shaheen Bache Ko Sohbat-e-Zagh
Haya Nahin Hai Zamane Ki Ankh Mein BaqiKhuda Kare Ke Jawani Teri Rahe Be-Dagh
Thehar Saka Na Kisi Khanqah Mein IqbalKe Hai Zareef-o-Khush Andaisha-o-Shugufta Damagh