ابوالعلامعري
Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 6 sher · Roman Urdu ke saath
Kehte Hain Kabhi Ghosht Na Khata Tha Ma’arriPhal Phool Pe Karta Tha Hamsha Guzar Auqat
Ek Dost Ne Bhoona Huwa Teetar Usse BhejaShaid Ke Who Shatir Issi Tarkeeb Se Ho Maat
Ye Khawan-e-Tar-o-Taza Maarri Ne Jo DekhaKehne Laga Woh Sahib-e-Ghafran-o-Lazomaat
Ae Murghak-e-Bechara! Zara Ye To Bata TuTera Woh Gunah Kya Tha Ye Hai Jis Ki Makafat?
Afsos, Sad Afsos Ke Shaheen Na Bana TuDekhe Na Teri Ankh Ne Fitrat Ke Isharat
Taqdeer Ke Qazi Ka Ye Fatwa Hai Azal SeHai Jurm-e-Zaeefi Ki Saza Marg-e-Mafajat!