کبھی اے حقیقت منتظر نظر آ لباس مجاز میں
Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 7 sher · Roman Urdu ke saath
kabhī ai haqīqat-e-muntazar nazar aa libās-e-majāz meñki hazāroñ sajde taḌap rahe haiñ mirī jabīn-e-niyāz meñ
tarab-āshnā-e-ḳharosh ho to navā hai mahram-e-gosh hovo sarod kyā ki chhupā huā ho sukūt-e-parda-e-sāz meñ
tū bachā bachā ke na rakh ise tirā aa.ina hai vo aa.inaki shikasta ho to azīz-tar hai nigāh-e-ā.īna-sāz meñ
dam-e-tauf kirmak-e-sham.a ne ye kahā ki vo asar-e-kuhanna tirī hikāyat-e-soz meñ na mirī hadīs-e-gudāz meñ
na kahīñ jahāñ meñ amaañ milī jo amaañ milī to kahāñ milīmire jurm-e-ḳhāna-ḳharāb ko tire afv-e-banda-navāz meñ
na vo ishq meñ rahīñ garmiyāñ na vo husn meñ rahīñ shoḳhiyāñna vo ġhaznavī meñ taḌap rahī na vo ḳham hai zulf-e-ayāz maiñ
maiñ jo sar-ba-sajdā huā kabhī to zamīñ se aane lagī sadātirā dil to hai sanam-āshnā tujhe kyā milegā namāz meñ