رمزِ زندگیRamz E Zindagi

بڈھے بلوچ کي نصيحت بيٹے کو

Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 11 sher · Roman Urdu ke saath

Ho Tere Bayaban Ki Hawa Tujh Ko GawaraIss Dasht Se Behter Hai Na Dilli Na Bukhara
Jis Simat Mein Chahe Sifat-e-Seel-e-Rawan ChalWadi Ye Humari Hai, Woh Sehra Bhi Humara
Ghairat Hai Bari Cheez Jahan-e-Tagg-o-Dou MeinPehnati Hai Darvesh Ko Taj-e-Sar-E-Dara
Hasil Kisi Kamil Se Ye Poshida Hunar KarKehte Hain Ke Sheeshe Ko Bana Sakte Hain Khara
Afrad Ke Hathon Mein Hai Aqwam Ki TaqdeerHar Fard Hai Millat Ke Muqaddar Ka Sitara
Mehroom Raha Doulat-e-Darya Se Woh GhawwasKarta Nahin Jo Souhbat-e-Sahil Se Kinara
Deen Hath Se De Kar Agar Azad Ho MillatHai Aesi Tajarat Mein Musalman Ka Khasara
Dunya Ko Hai Phir Ma’arka-e-Rooh-o-Badan PaishTehzeeb Ne Phir Apne Darindon Ko Ubhara
Allah Ko Pa-Mardi-e-Momin Pe BharosaIblees Ko Yourap Ki Machinon Ka Sahara
Ikhlas-e-Amal Mang Nayagan-e-Kuhan SeShahan Che Ajab Gar Banawazand Gada Ra