رمزِ زندگیRamz E Zindagi

خرد کے پاس خبر کے سوا کچھ اور نہیں

Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 7 sher · Roman Urdu ke saath

ḳhirad ke paas ḳhabar ke sivā kuchh aur nahīñtirā ilaaj nazar ke sivā kuchh aur nahīñ
har ik maqām se aage maqām hai terāhayāt zauq-e-safar ke sivā kuchh aur nahīñ
girāñ-bahā hai to hifz-e-ḳhudī se hai varnaguhar meñ āb-e-guhar ke sivā kuchh aur nahīñ
ragoñ meñ gardish-e-ḳhūñ hai agar to kyā hāsilhayāt soz-e-jigar ke sivā kuchh aur nahīñ
urūs-e-lāla munāsib nahīñ hai mujh se hijābki maiñ nasīm-e-sahar ke sivā kuchh aur nahīñ
jise kasād samajhte haiñ tājirān-e-farañgvo shai mata-e-hunar ke sivā kuchh aur nahīñ
baḌā karīm hai 'iqbāl'-e-be-navā lekinatā-e-shola sharar ke sivā kuchh aur nahīñ