دوزخي کي مناجات
Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 6 sher · Roman Urdu ke saath
Iss Dair-e-Kuhan Mein Hain Gharzmand PoojariRanjeeda Button Se Hon To Karte Hain Khuda Yaad
Pooja Bhi hai Be-sood, Namazain bhi hain Be-soodQismat Hai Gharibon Ki Wohi Nala-o-Faryad
Hain Garcha Bulandi Mein Amaraat Falak BousHar Sheher Haqiqat Mein Hai Weerana’ay Abad
Teeshe Ki Koi Gardish-e-Taqdeer Tou DekheSirab Hai Pervaiz, Jigar-e-Tashna Hai Farhad
Ye Ilm, Ye Hikmat, Ye Siasat, Ye TijaratJo Kuch Hai, Woh Hai Fikar-e-Mulookana Ki Ijaad
Allah ! Tera Shukar Ke Ye Khitta-e-PursouzSoudagar-e-Yourap Ki Ghulami Se Hai Azad !