رمزِ زندگیRamz E Zindagi

آج وہ کشمير ہے محکوم و مجبور و فقير

Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 4 sher · Roman Urdu ke saath

Aaj Woh Kashmir Hai Mehkoom-O-Majboor-O-FaqeerKal Jise Ahl-E-Nazar Kehte Thay Iran-E-Sagheer
Sina’ay Aflaak Se Uthti Hai Aah-E-Soz NaakMard-E-Haq Hota Hai Jab Maroob-E-Sultan-O-Ameer
Keh Raha Hai Dastan Baydari-E-Ayam KiKoh Ke Daaman Mein Woh Gham Khanaay Dehqaan-E-Peer
Aah ! Ye Qoum-E-Najeeb-O-Charab Dast-O-Tar DamaghHai Kahan Roz-E-Makafaat Ae Khuda\xe2\x80\x99ay Deer Geer?