رمزِ زندگیRamz E Zindagi

خودی وہ بحر ہے جس کا کوئی کنارہ نہیں

Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 7 sher · Roman Urdu ke saath

ḳhudī vo bahr hai jis kā koī kināra nahīñtū aabjū ise samjhā agar to chāra nahīñ
tilism-e-gumbad-e-gardūñ ko toḌ sakte haiñzujāj kī ye imārat hai sañg-e-ḳhāra nahīñ
ḳhudī meñ Dūbte haiñ phir ubhar bhī aate haiñmagar ye hausla-e-mard-e-hech-kāra nahīñ
tire maqām ko anjum-shanās kyā jaaneki ḳhāk-e-zinda hai tū tāba-e-sitāra nahīñ
yahīñ bahisht bhī hai huur o jibra.īl bhī haitirī nigah meñ abhī shoḳhi-e-nazāra nahīñ
mire junūñ ne zamāne ko ḳhuub pahchānāvo pairahan mujhe baḳhshā ki paara paara nahīñ
ġhazab hai ain-e-karam meñ baḳhīl hai fitratki lāl-e-nāb meñ ātish to hai sharāra nahīñ