رمزِ زندگیRamz E Zindagi

نيا شوالا

Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 9 sher · Roman Urdu ke saath

Sach Keh Doon Ae Barhman! Gar Tu Bura Na ManeTere Sanam Kadon Ke Butt Ho Gye Purane
Apnon Se Bair Rakhna Tu Ne Button Se Se SikhaJang-o-Jadal Sikhaya Waaiz Ko Bhi Khuda Ne
Pathar Ki Mootraton Mein Samjha Hai Tu Khuda HaiKhak-e-Watan Ka Mujh Ko Har Zarra Devta
Aa, Ghairiat Ke Parde Ek Baar Phir Utha DainBichron Ko Phir Mila Dain, Naqsh-e-Dooi Mita Dain
Sooni Pari Huwi Hai Muddat Se Dil Ki BastiAa, Ek Naya Shiwala Iss Dais Mein Bana Dain
Dunya Ke Teerathon Se Ucha Huwa Apna TeerathDamaan-e-Asman Se Iss Ka Kalas Mila Dain
Har Subah Uth Ke Gayen Mantar Woh Meethe MeetheSare Pujariyon Ko Mai Peet Ki Pila Dain
Shakti Bhi, Shanti Bhi Bhagton Ke Geet Mein HaiDharti Ke Basion Ki Mukti Pareet Mein Hai