نہ آتے ہمیں اس میں تکرار کیا تھی
Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 6 sher · Roman Urdu ke saath
na aate hameñ is meñ takrār kyā thīmagar va.ada karte hue aar kyā thī
tumhāre payāmī ne sab raaz kholāḳhatā is meñ bande kī sarkār kyā thī
bharī bazm meñ apne āshiq ko taaḌātirī aañkh mastī meñ hushyār kyā thī
ta.ammul to thā un ko aane meñ qāsidmagar ye batā tarz-e-inkār kyā thī
khiñche ḳhud-baḳhud jānib-e-tūr muusākashish terī ai shauq-e-dīdār kyā thī
kahīñ zikr rahtā hai 'iqbāl' terāfusūñ thā koī terī guftār kyā thī