Cheen-o-Arab Humara, Hindustan HumaraMuslim Hain Hum, Watan Hai Sara Jahan Humara
Touheed Ki Amanat Seenon Mein Hai HumareAsan Nahin Nitana Naam-o-Nishan Humara
Dunya Ke Butkadon Mein Pehla Woh Ghar Khuda KaHum Uss Ke Pasban Hain, Woh Pasban Humara
Taighon Ke Saye Mein Hum Pal Kar Jawan Huwe HainKhanjar Hilal Ka Hai Qoumi Nishan Humara
Maghrib Ki Wadiyon Mein Goonji Azan HumariThamta Na Tha Kisi Se Seel-e-Rawan Humara
Batil Se Dabne Wale Ae Asman Nahin HumSou Baar Kar Chuka Hai Tu Imtihan Humara
Ae Gulistan-e-Aundlas ! Woh Din Hain Yaad Tujh KoTha Teri Daliyon Par Jab Ashiyan Humara
Ae Mouj-e-Dajla! Tu Bhi Pehchanti Hai Hum KoAb Tak Hai Tera Darya Afsana Khawan Humara
Ae Arz-e-Pak! Teri Hurmat Pe Kat Mare HumHai Khoon Teri Ragon Mein Ab Tak Rawan Humara
Salar-e-Karwan Hai Meer-e-Hijaz (S.A.W.) ApnaIss Naam Se Hai Baqi Aram-e-Jaan Humara
Iqbal Ka Tarana Bang-e-Dra Hai GoyaHota Hai Jadah Pema Phir Karwan Humara