ايک حاجي مدينے کے راستے ميں
Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 9 sher · Roman Urdu ke saath
Qafla Loota Gya Sehra Mein Aur Manzil Hai DoorIss Byaban Yani Behr-e-Khushk Ka Sahil Hai Door
Hum Safar Mere Shikar-e-Dashna-e-Rehzan HuweBach Gye Jo, Ho Ke Be-Dil Sooye Bait Ullah Phire
Uss Bukhari Naujawan Ne Kis Khushi Se Jaan Di!Mout Ke Zehr Ab Mein Payi Hai Uss Ne Zindagi
Khanjar-e-Rahzan Usse Goya Hilal-e-Eid Tha‘Haye Yasrab’ Dil Mein Lab Par Naara-e-Touheed Tha
Khauf Kehta Hai Ke Yasrab Ki Taraf Tanha Na ChalShauq Kehta Hai Tu Muslim Hai, Bebakana Chal
Be-Ziarat Sooye Bait Ullah Phir Jaun Ga KyaAshiqon Ko Rouz-e-Mehshar Munh Na Dikhlaun Ga Kya
Khauf-e-Jaan Rakhta Nahin Kuch Dast Pemaye HijazHijrat-e-Madfoon-e- Yasrab (S.A.W.) Mein Yehi Makhfi Hai Raaz
Go Salamat Mehmil-e-Shami Ki Humrahi Mein HaiIshq Ki Lazzat Magar Khatron Ki Jaankahi Mein Hai
Aah! Ye Aqal-e-Zayan Andaish Kya Chalak HaiAur Tassur Admi Ka Kis Qadr Bebaak Hai