Kal Aik Shaurida Khawab-Gah-e- Nabi (S.A.W.) Pe Ro Ro Ke Keh Raha ThaKe Misr-o-Hindustan Ke Muslim Binaye-e-Millat Mita Rahe Hain
Ye Zaeeran-e-Hareem-e-Magrib Hazar Rahbar Banain HumareHumain Bhala In Se Wasta Kya Jo Tujh Se Na-Ashna Rahe Hain
Ghazab Hain Ye ‘Murshadan-e-Khud-Been’ Khuda Qaum Ko Bachaye!Bighaar Kar Tere Muslamon Ko Ye Apni Izzat Bana Rahe Hain
Sune Ga Iqbal Kon In Ko, Ye Anjuman Hi Badal Gyi HaiNaye Zamane Mein App Hum Ko Purani Batain Suna Rahe Hain!