رمزِ زندگیRamz E Zindagi

شکوہ

Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 30 sher · Roman Urdu ke saath

Kyun Ziyaan Kaar Banun, Sood Framosh RahunFikr-e-Farda Na Karum, Mahw-e-Ghum-e-Dosh Rahun
Naale Bulbul Ke Sunoon, Aur Hama Tan Gosh RahunHumnawa Main Bhi Koi Gul Hun Ke Khamosh Rahun
Jurrat Aamoz Miri Taab-e-Sakhun Hai MujhKo Shikwa Allah Se Khakam Badahan Hai Mujh Ko
Hai Baja Shewa-e-Tasleem Mein Mashoor Hain HumQissa-e-Dard Sunate Hain Ke Majboor Hain Hum
Saaz-e-Khamosh Hain, Faryad Se Maamoor Hain HumNala Ata Hai Agar Lab Pe To Maazoor Hain Hum
Ae Khuda Shikwa-e-Arbab-e-Wafa Bhi Sun LeKhugar-e-Hamd Se Thora Sa Gila Bhi Sun Le
Thi To Maujood Azal Se Hi Teri Zaat-e-QadimPhool Tha Zaib-e-Chaman, Par Na Preshan Thi Shamim
Shart Insaaf Hai, Ae Sahib-e-Altaf-e-AmimBoo-e-Gul Phailti Kis Tarah Jo Hoti Na Nasim
Hum Ko Jamiat-e-Khatir Ye Preshani ThiWarna Ummat Tere Mehboob (S.A.W.) Ki Diwani Thi
Hum Se Pehle Tha Ajab Tere Jahan Ka ManzarKahin Masjood The Pathar, Kahin Maabood Shajar
Khugar-e-Paikar-e-Mahsoos Thi Insaan Ki NazarManta Phir Koi Un-Dekhe Khuda Ko Kyunkar
Tujh Ko Maalum Hai Leta Tha Koi Naam Tera?Quwwat-e-Baazoo-e-Muslim Ne Kiya Kaam Tera
The Hameen Ek Tire Maarka Aaraaon Mein!Khushkion Mein Kabhi Larte, Kabhi Dariyaon Mein,
Deen Azaanen Kabhi Europe Ke Kaleesaaon MeinKabhi Africa Ke Tapte Huwe Sehraaon Mein.
Thi Na Kuch Taeg-Zani Apni Hukumat Ke LiyeSar-Bakaf Phirte The Kya Dehar Mein Doulat Ke Liye
Qaum Apni Jo Zar-o-Maal-e-Jahan Par Marti,But Faroshi Ke Iwaz But Shikni Kyon Karti?
Tujh Se Sarkash Huwa Koi To Bighar Jate TheTaeg Kya Cheez Hai, Hum Toup Se Larh Jate The
Naqsh Tauheed Ka Har Dil Pe Bithaya Hum NeZer-e-Khanjar Bhi Yeh Paigham Sunaya Hum Ne
Tu Hi Keh De Ke Ukhara Dar-e-Khyber Kis NeSheher Qaiser Ka Jo Tha, Us Ko Kiya Sar Kis Ne
Tore Makhluq Khudawandon Ke Paikar Kis NeKaat Kar Rakh Diye Kuffaar Ke Lashkar Kis Ne
Kis Ne Thanda Kiya Atishkuda-e-Iran Ko?Kis Ne Phir Zinda Kiya Tazkara-e-Yazdaan Ko?
Kon Si Qoum Faqat Teri Talabgar HuwiAur Tere Liye Zehmat Kash-e-Paikaar Huwi
Kis Ki Haibat Se Sanam Sehme Huwe RehteTheMunh Ke Bal Gir Ke 'HU WA-ALLAH HU AHAD' Kehte The