تضمين بر شعر ابوطالب کليم
Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 7 sher · Roman Urdu ke saath
Khoob Hai Tujh Ko Shiaar-e- Sahib-e-Yasrib (S.A.W.) Ka PaasKeh Rahi Hai Zindagi Teri Ke Tu Muslim Nahin
Jis Se Tere Halqa-e-Khatim Mein Gardoon Tha AseerAe Suleman! Teri Ghaflat Ne Ganwaya Woh Nageen
Woh Nishan-e-Sajda Jo Roshan Tha Koukab Ki TarahHo Gyi Hai Uss Se Ab Na-Ashna Teri Jabeen
Dekh To Apna Amal, Tujh Ko Nazar Ati Hai KyaWoh Sadaqat Jis Ki Be-Baki Thi Hairat Afreen
Tere Aaba Ki Nigah Bijli Thi Jis Ke WasteHai Wohi Batil Tere Kashana-e-Dil Mein Makeen
Ghafil! Apne Ashiyan Ko Aa Ke Phir Abad KarNaghma Zan Hai Toor-e-Ma’ani Par Kaleem-e-Nukta Been
“Sarkashi Bahir Ke Kar Di, Raam-e-Ao Bayad ShadanShaola Saan Azhar Kuja Barkhasti, Aanja Nasheen"