انوکھی وضع ہے سارے زمانے سے نرالے ہیں
Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 8 sher · Roman Urdu ke saath
anokhī vaz.a hai saare zamāne se nirāle haiñye āshiq kaun sī bastī ke yā-rab rahne vaale haiñ
ilāj-e-dard meñ bhī dard kī lazzat pe martā huuñjo the chhāloñ meñ kāñTe nok-e-sozan se nikāle haiñ
phalā-phūlā rahe yā-rab chaman merī umīdoñ kājigar kā ḳhuun de de kar ye buuTe maiñ ne paale haiñ
rulātī hai mujhe rātoñ ko ḳhāmoshī sitāroñ kīnirālā ishq hai merā nirāle mere naale haiñ
na pūchho mujh se lazzat ḳhānamāñ-barbād rahne kīnasheman saikḌoñ maiñ ne banā kar phūñk Daale haiñ
nahīñ begānagī achchhī rafīq-e-rāh-e-manzil seThahar jā ai sharar ham bhī to āḳhir miTne vaale haiñ
umīd-e-hūr ne sab kuchh sikhā rakkhā hai vaa.iz koye hazrat dekhne meñ sīdhe-sādhe bhole bhāle haiñ
mire ash.ār ai 'iqbāl' kyuuñ pyāre na hoñ mujh komire TuuTe hue dil ke ye dard-añgez naale haiñ