کبھي اے حقيقت منتظر نظر لباس مجاز ميں
Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 7 sher · Roman Urdu ke saath
Kabhi Ae Haqiqat-e-Muntazir! Nazar Aa Libas-e-Majaz MeinKe Hazar Sajde Tarap Rahe Hain Meri Jabeen-e-Niaz Mein
Tarb Ashnaye Kharosh Ho, Tu Nawa Hai Mehram-e-Gosh HoWoh Surood Kya Ke Chupa Huwa Ho Sakoot-e-Parda-e-Saaz Mein
Tu Bacha Bacha Ke Na Rakh Isse, Tera Aaeena Hai Woh AaeenaKe Shikast Ho To Aziz Tar Hai Nigah-e-Aaeena Saaz Mein
Dam-e-Tof Karmak-e-Shama Ne Ye Kaha Ke Woh Asar-e-KuhanNa Teri Hikayat-e-Souz Mein, Na Meri Hadees-e-Gudaz Mein
Na Kaheen Jahan Mein Aman Mili, Jo Aman Mili To Kahan MiliMere Jurm-e-Khana Kharab Ko Tere Ufuw-e-Banda Nawaz Mein
نہ وہ عشق میں رہیں گرمیاں،نہ وہ حسن میں رہیں شوخیاںنہ وہ غزنوی میں تڑپ رہی، نہ وہ خم ہے زلف ایاز میں
Na Woh Ishq Mein Raheen Garmiyaan, Na Woh Husn Mein Raheen ShaukiyanNa Woh Ghaznavi Mein Tarap Rahi, Na Kham Hai Zulf-e-Ayaz Mein
Jo Mein Sar Basajda Huwa Kabhi To Zameen Se Ane Lagi SadaTera Dil To Hai Sanam Ashna, Tujhe Kya Mile Ga Namaz Mein