رمزِ زندگیRamz E Zindagi

ہندي اسلام

Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 5 sher · Roman Urdu ke saath

Hai Zinda Faqt Wahdat-e-Afkar Se MillatWahdat Ho Fana Jis Se Woh Ilhaam Bhi Ilhaad
Wahdat Ki Hifazat Nahin Be-Quwwat-e-BazooAati Nahin Kuch Kaam Yahan Aqal-e-Khudadad
Ae Mard-e-Khuda! Yujh Ko Woh Quwwat Nahin HasilJa Baith Kisi Ghaar Mein Allah Ko Kar Yaad
Miskeeni-o-Mehkoomi-o-Naumeedi-E-JavedJis Ka Ye Tasawwuf Ho Woh Islam Kar Ijad
Mullah Ko Jo Hai Hind Mein Sajde Ki IjazatNadan Ye Samajhta Hai Ke Islam Hai Azad!