Byan Mein Nukta-e-Touheed Aa To Sakta HaiTere Damagh Mein Butkhana Ho To Kya Kahiye
Woh Ramz-e-Shouk Ke Poshida La Ilaha Mein HaiTareeq-e-Sheikh Faqeeh Na Ho To Kya Kahiye
Suroor Jo Haq-o-Batil Ki Karzaar Mein HaiTu Harb-o-Zarb Se Begana Ho To Kya Kahiye
Jahan Mein Banda-e-Hur Ke Mashidaat Hain KyaTeri Nigah Ghulamana Ho To Kya Kahiye
Maqam-e-Faqr Hai Kitna Buland Shahi SeRawish Kisi Ki Gadayana Ho To Kya Kahiye!