الہام اور آزادي
Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 5 sher · Roman Urdu ke saath
Ho Banda-e-Momin Azad Agar Sahib-e-IlhaamHai Uss Ki Nigah Fikar-o-Amal Ke Liye Mehmaiz
Uss Ke Nafas-e-Garam Ki Taseer Hai AesiHo Jati Hai Khaak-e-Chamanistan Sharar Amaiz
Shaheen Ki Ada Hoti Hai Bulbul Mein NamoodarKis Darja Badal Jate Hain Murghan-e-Sahar Khaiz!
Uss Mard-e-Khud Aagah-o-Khuda-Mast Ki SohabatDeti Hai Gadaon Ko Shikoh-e-Jam-o-Pervaiz
Mehkoom Ke Ilhaam Se Allah BachayeGharat Gar-e-Aqwam Hai Woh Soorat-e-Changaiz