Qoumon Ki Hayat In Ke Takhiyyul Pe Hai MouqoofYe Zauq Sikhata Hai Adab Murgh-e-Chaman Ko
Majzoob-e-Farangi Ne Ba Andaz-e-FarangiMehdi Ke Takhiyyul Se Kiya Zinda Watan Ko
Ae Woh Ke Tu Mehdi Ke Takhiyyul Se Hai BezarNaumeed Na Kar Ahuye Mushkeen Se Khutan Ko
Ho Zinda Kafan Posh To Mayyat Use SamjhainYa Chaak Karain Mardak-e-Nadan Ke Kafan Ko?