اسرار پيدا
Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 4 sher · Roman Urdu ke saath
Uss Qoum Ko Shamsheer Ki Hajat Nahin RehtiHo Jis Ke Jawanon Ki Khudi Soorat-e-Foulad
Na-Cheez Jahan-e-Meh-o-Parveen Tere AgayWoh Alam-e-Majboor Hai, Tu Alam-e-Azad
Moujon Ki Tapish Kya Hai, Faqt Zauq-e-Talab HaiPinhan Jo Sadaf Mein Hai, Woh Doulat Hai Khudadad
Shaheen Kabhi Parwaz Se Thak Kar Nahin GirtaPur Dam Hai Agar Tu To Nahin Khatra-e-Uftad